Thursday, October 17, 2019

ek waqt aata hai


Her insaan k jeevan main ek waqt aata hai, jab wo puri trh se thak jaata hai, 
Tu laut aayega phir bhi sahi, Tu nhi aayega phir bhi sahi. 
Tu wada nibhayega phir bhi sahi, Tu nhi nibhayega phir bhi sahi. 
Tu mjhe bhul jayega phir bhi sahi, Tu nhi bhul payega phir bhi sahi. 
Tu mera  hojayega phir bhi sahi, Tu kissi ka banjayega phir bhi sahi. 
Tu dard dega phir bhi sahi, Tu malham lagayega phir bhi sahi. 
Her insaan k jeevan main ek waqt aata hai, jab wo puri trh se thak jata hai. 
Us waqt ye kasme, ye waade, ye rasme, ye yaade, ye sapne, ye apne her cheez baimani lagti hai, tb khudi ki zindagi ek adhuri kahani lagti hai, 
Tu pehchan jayega phir bhi sahi, Tu anjaan banke muh chupayega phir bhi sahi. 

tu mera dard smjh payega phir bhi sahi, tu na samjhna chahega phir bhi sahi.
Her insaan k jeevan main ek waqt aata hai, jab wo puri trh se thak jaata hai . 
Ye tea, ye coffee, ye chocolate, ye toffee, ye raat bhar phone pe ungliya dabana aur roothane per video call pe manana, 
Yeh sb ek dusre k pyar main doob jaane ki nishani lagti hai, aur ye normal ladki k life main Barbie ki kahani lagti hai. 
Tu izhar krega phir bhi sahi, Tu sbkuch maan me rkhega phir bhi sahi. 
Hum ek dusre k hai iska aitbaar kr phir bhi sahi, Tu na kr phir bhi sahi. 
Her insaan k jeevan main ek waqt aata hai, jab wo puri trh se thak jaata hai. 

No comments:

Post a Comment

I am tenacious and you are my one.

It’s the time when we fall apart, You said lets break it, let’s give it a stop. You said things will not work out, lets get separated, Yo...